Showing posts with label Barish Poetry. Show all posts
Showing posts with label Barish Poetry. Show all posts

Tumharay Shehar Ko Baadal Mubarik Ho

Tumharay shehar ko baadal mubarik ho Humaray shehar main aankhain barasti hain
Read More

Apni Her Boond Main Teri Yaad Ki Lazzat Le Ker

Apni her boond main teri yaad ki lazzat le ker Barishain aag laganay ka hunar layee hain
Read More

Kesay Chup Chaap Barasti Hay Musalsal Barish

Kesay chup chaap barasti hay musalsal barish Jaisay chup chaap barasta hay tasawwur tera
Read More

Gham Ki Barish Ne Teray Naqsh Ko Dhoya Nahi

Gham ki barish ne teray naqsh ko dhoya nahi Tu ne mujhay kho diya main ne tujhay khoya nahi
Read More

Barish Suhana Mausam Aur Garam Chae

Barish suhana mausam aur garam chae Sub mil ker mera dil jala rahay hain
Read More

Jo Ana Chaho Hazaar Raste

Jo ana chaho hazaar raste, na ana ho tu uzr hazaron Mizaaj berhum, taweel rasta, barasti barish, kharab mausam
Read More

Ab Ke Barish Main

Ab ke barish main Kuch aisa kerna Apni hatheli per Qatroon ko jama kerna Jo jama ho jain Wo sub teri chahat Aur jo reh jain Wo sub meri chah...
Read More

Yeh Barsih Ka Mousam Yeh Thanda Saman

Yeh barish ka mousam yeh thanda saman Yeh bhi koi waqt hai hum se duor rehne ka
Read More

Udas Rehta Hai Muhlley Main Barish Ka Pani

Udas rehta hai muhlley main barish ka pani aaj kul Suna hai kaghaz ki kashti bnane waly ab barey ho gaey
Read More

Barish Howi To Teri Khushbuon Ke Qafle

Barish howi to teri khushbuon ke qafle Aise uray ke shear gulabon se bher geya
Read More

Is Barish Se Keh Do Mere Angan Main Na Berse

Is barish se keh do mere angan main na barse Usay dekh ker koi shiddat se yad ata hai
Read More

Mujhay Maar Hi Na Dalay In Baadloon Ki Saazish

Mujhay maar hi na dalay in baadloon ki saazish Ye jub se baras rahay hain tum yaad a rahay ho
Read More

Tez Barish Main Kharda Hoon

Tez barish main kharda hoon, woh aik jumla sunnay ko Arey idher aaoo, bheek jaoo gay
Read More

Kul Raat Barasti Rahi Sawan Ki Ghata Bhi

Kul raat barasti rahi sawan ki ghata bhi Aur hum bhi teri yaad main dil khool ke royee
Read More

Kaee Roog De Gyee Hay Naee Mosumon Ki Barish

Kaee roog de gyee hay naee mosumon ki barish Mujhay yaad arahay hain, mujhay bhool janay waly
Read More